#SindhWaterIssue #PPPvsPMLN #QurbanBaloch #Sindh #Punjab #CanalIssue #SharjeelMemon #RanaSanaullah #PMLN #PPP #GovtPakistan #OppositionPK #PakistanEconomy #SIFC #pakistanzindabad1947
Kya Canal Issue aur Sindh ka pani Pakistan Peoples Party aur Muslim League Noon ke darmiyan rabton ka sabab bana?
Jesa ke Ustad Ghalib ne farmaya, “Qasid ke aate aate ek aur khat likh rakhoon, Main jaanta hoon woh jo likhenge jawab mein.” Kya siyasi raabton ke nataij bhi pehle se tay shuda hain? Pakistan Peoples Party aur Muslim League Noon ke darmiyan hone wale tez tar muzakrat aur “kachairi” ki tafseelat janiye.
Qurban Baloch batatay hain ke canals mansooba, khususan Green Initiative Pakistan project, sirf aik mansooba nahi balkay madniyat, tourism, zar’aat, corporate farming aur ma’ashi behtari jese deegar iqdamaat ki aik lambi chain ka hissa hai. Is chain ke kisi aik hissay se peechay hatna, saare mansoobon se peechay hatne ke barabar hai.
Hal hal Yeh hai ke Pakistan Peoples Party aur Muslim League Noon ke muzakrat mein yeh tay paaya hai ke in mansoobon ko kisi surat mein roll back nahi kiya jayega. Wazir e Azam ke musheer Rana Sanaullah aur Sindh ke senior wazir Sharjeel Memon ke darmiyan hone wale raabton aur committee tashkeel dene ke faislay par roshni dali gayi hai.
Sab se ahem baat, muzakrat ka buniyadi nuqta Cholistan Canal hai, jis par Sindh mein shadeed ahtejaj ho raha hai. Kya is committee mein yeh stereotype muaahida tay hoga ke Sindh ke paani ka aik qatra bhi divert nahi hoga? Aur agar yeh muaahida ho jata hai, to kya Pakistan Peoples Party Sindh mein apnay voters ka aitemad dobara hasil kar le gi?
Dekhna yeh hai ke is siyasi jad o jahd mein fateh kis ki hoti hai – ahtejaj karne wali jamaton ki ya muzakrat se ‘hal’ nikalnay wali jamaton ki. Nayi developments se ba-khabar rahiye, phir na kahiyega ke humein pata na ho!
Apna feedback comments mein zarur share karein!